Tuesday, September 25, 2007

Time-less-Ness



Waqt ki lash kuch yuhin padi hui hai
aur lamhe baithe hua ro rahe hein,
Har koi gumnam sa
aur ek ajeeb si talash hai,
Na raat ka andehra, na din ka ujala
na sannata, na shor

Maut or zindagi ke beech, ajeeb se kasmekash
fikr charon tarf, madhoshi ka aalam bhi
Har koi kuch chahta sa
phir ek ajeeb sa darr, kuch khona ka,

Haarna mein bhi nahi chahte
lekin darta houn, khona nahi chate khud ko
ya shyaad dhoond hi nahi paya houn,

Aur phir, waqt ki lash bhi kuch yuhin padi hai
lame baithe hua na jaane kyon ro rahe hein.......


(The corpse of time is lying somewhere
And moments are wailing,
Everyone is anonymous
And some strange search is on,
Neither the darkness of night, nor the light of morning
neither silence nor any sound

A strange tussle between life and death
concern and celebrations
Everyone desiring for something
and then the fear of losing it all

Even I don’t want to lose
But I fear losing myself
Perhaps I haven’t found my call,

And, then the corpse of time is lying somewhere
Why the moments are wailing?)